kucch dheer dharo...

Dear Pati,

Jab kaale badal aate hain,
Har oor andhera chhata hai,
Aur tez hawaon ka jhoonka,
Man vichlit sa kar jata hai,
Jab nabh mein hoti ek garjan,
Sun har koi dar jata hai,
Tab dharti ki pyas bujhane ko,
Jeevan amrit barsane ko,
Varsha ki boonde aati hain,
Aur nutan raag sunati hain,
Kal-kal tup-tup ki sargam sun,
Man mein phir dheeraj aata hai,
Aasha ka nanha prabal deep,
Ek baar punah jal jaata hai.

Saawan ki madhur phuhaaren jab,
Sab kuch swarnim kar jaati hain,
Tab man ka wo anjana dar,
Bus paani mein mil jaata hai
Tum aaj bhale he oojhal ho,
Mere naino ke aangan se,
Chhahe is kshan yu lagta hai,
Simtega kab jo phaila hai,
Megho ke paar chhupa suraj,
Aage aano ko vyakul hai,
Aur maun raat ka dooba chandra,
Kirne bikhrana chahta hai.

Kehto ho tum "kucch dheer dharo,
Sahas sab paar lagata hai,
Asmanjas ka kya kaam bhala,
Ankush dono ko dharna hai."
Par jab sandhya deti dastak,
Ambar ka rang gehrata hai,
Rug-rug mein bharta sunapan,
Sudh budh meri bisrata hai.

Jis din tum wapas aaoge,
Is vasudha ka rang kya hoga?
Prafulit neela ambar hoga,
Ati harshit man mera hoga.

Phir shwet-shyaam saare badal,
Ek ek karke chhat jaenge,
Panchi kaliyaan chanda taare,
Koi madhur geet sunaenge.
Manas ka dhundhlaya sheesha,
Ek baar punah ujjwal hoga,
Reh reh naino se jo jharta,
Wo sagar bhi tham jaega.
Pagchaap tumhare aane ki,
Sun anuragit ye man hoga,
Us ghadi hosh sambhal jaye,
Kya bheetar itna sayyam hoga?

Comments

Popular posts from this blog

Beyond the Cover: The True Essence of Books

Compare or not to Compare!

My Mantra: Promises I have made to myself