Just a few hours to go...

With only a few hours to go for Vivek to be back home Bhumika my friend pens the last verse of this series. Welcome home Vivek...


Dear Pati,

Kyun ye lamha thehra hai,
Waqt par kiska pehra hai?
Ek arsa beet gaya bin tere,
Tere paas na hone ka dard bahut gehra hai.

Ab to ghadi par he nazre tiki huee hain,
Ye saase bhi lagta hai kuch ruki huee hain,
Mere dil ka haal kehta aaj mera chehra hai,
Tere paas na hone ka dard bahut gehra hai.

Aas paas khamosh se hulchul huee hai,
Kuch soch samajh na aane ki naubat huee hai,
Teri yaadon ke saye ka is dil pe pehra hai
Tere paas na hone ka dard bahut gehra hai.

Humko maloom hai bahut jald tere aane ki dastak hogi,
Na jaane phir us pal kaisi meri haalat hogi,
Hum to sambhal he jaenge, par is dil ka marz gehra hai,
Tere paas na hone ka dard bahut gehra hai.

Muddaton bad tumko dekhkar kuch keh bhi paaenge hum?Yakin nahin hai ki khul ke hans bhi paaenge hum.
Dar hai ki beh na jaye wo dariya jo meri aankhon mein thehra hai,
Tere paas na hone ka dard bahut gehra hai.

Tum to mere apne ho, phir aaj itni ghabrahat kyun hai?
Kabhi chalte, kabhi rukte hain, na aati ek pal bhi koi raahat kyun hai?
Shayad tere armano ne bhi pehna aaj koi sehra hai,
Tere paas na hone ka dard bahut gehra hai.

Kal kisne dekha hai, na jaane kis mod par phir bichad jaaenge,
Ek waqt aisa bhi aaega ki bichde to phir mil na paaenge,
Saath humara aaj nahin, na jaane kitne janmo se thehra hai,
Tere paas na hone ka dard bahut gehra hai.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Beyond the Cover: The True Essence of Books

Compare or not to Compare!

My Mantra: Promises I have made to myself